Aajtk facebook id sbse jyada hack hui hai toh wo maximum phishing ke through hi hua hai . Mai aapko bta du ki phishing method ka matlab yah hota hai ki facebook ke jaisa hi aapko ek page milega.Jiska web address bhi facebook jaisa match krega .Aur jo hacker hota hai aapko link send karke bolta hai ki aap isme login krke page like kr do ya uska kaam kar do .Aur jaise hi aap usme login karte ho aapka username aur password uss hacker ke pass chla jata hai .Iss tarah se wo aapki facebook id ke sath kuch bhi kar skta hai. Phishing page bahut tarah ke ho skte hai .jaise likers wale page. Aapko link send karke bolega ki aapko dher sare likes milenge etc. Phishing method thoda technically complex hota hai .Yah itna aasan nahi hota.Iske liye aapko web developing aana jaruri hai.
Keylogging sbse easy tarika hota hai facebook hack karne ka . Keylogger ek software hota hai jo hacker ke dwara victim (User) ke system me install hota hai .Aur jb bhi user kuch bhi type karta hai apne system par wo sari details jaise username password (Sabhi Accounts ka ) hacker ke pass FTP ke through ya email ke through chali jati hai .Isliye aap kabhi bhi apna system kisi aur ko use krne ke liye na de aur na hi kisi aur ke computer system me login kare.Agar login bhi karna hai toh aap virtual keyboard ka istemaal kare.
Bahut se log lagbhag 80% log apna password apne browser me hi save kar dete hai ki unko baad me login karne ke liye dubara username password nahi daalna padega .Iss tarah se aapki Gair Majudagi me aapka koi friend aapke system me browser open karke aapka sara login details dekh skta hai .Iss tarah se aapka facebook account toh hack hoga hi aur sath sath aapne jo bhi account ka detail jaise gmail,yahoo,youtube etc ko save kiya hai ,wo bhi hack ho jayega . Isliye aap apne password ko apne browser me save na kare.
Aap jab bhi facebook open kare .Apne browser me web address ko dhayan se dekhe ki aapka web address https se shuru ho rha hai ya nahi .Agar https ya http nahi hai toh aap usme login na kare. Iss aapka session kisi online hacker dwara hack kiya ja skta hai . Waise yah hacking Wifi ya LAN par internet use karne par hi hota hai .
Sidejacking attack sbse phli baar 2010 me hua tha .Aajkl yah bahut hi popular method hai . Iss method me attacker aur victim(user) jab ek hi wifi ya LAN ka istemaal karte hai tabhi hacking possible hai .
Lagbhag 70 % facebook user apna facebook mobile phone par hi access karte hai . Aise me mobile phone ke liye dhero apps bhi aate hai . Jisme hackers bhi mobile spying wale software bhi app market me upload kiye hai .Waise toh aapko dusre purpose ke liye download krwate hai lekin unka purpose hota hai aapke phone ke upar spy karna .Market me aapko kuch iss tarah ke app mil skte hai jaise Mobile spy ,Spy phone gold etc .
DNS spoofing method bhi tabhi kaam karta hai jab hacker aur victim ek hi network par hote hai .Is method me hacker ,User ke DNS ke jaisa hi ek Fake DNS generate karta hai. Aur original facebook page ko fake facebook page me change kar deta hai aur jaise hi user apna login detail uss fake facebook login page me daalta hai uski id hack ho jati hai .
Agar hacker aapka computer use karta hai .Usko kabhi time milta hai akele me aapka computer access karne ko toh wah aapke internet browser se saare password pendrive me extract kr skta hai .
Dosto maine jitne bhi facebook hacking ke methods ke bare me btaya wo sabhi jyadatar use hone wale methods hai .Waise kuch aur mtehods bhi hote hai lekin unka setup cost bahut jyada hota hai lsliye unka use facebook hacking ke liye nahi hota . Agar aapko koi point samjh me nahi aaya toh aap comment box me comment kake puch skte hai .
Disclaimer :- Iss article ka motto sirf aap logo ko aware karana hai taki aap log apne account ko hack hone se bacha sake .
0 Comments