Friends aap jab kisi ko whatsapp, message karte hai ya koi note type karte hai toh auto correction se aapka manchaha word type nahi ho pata hai .Jaise agar aap kisi friend ko “Oh Rly” Type karke send karte hai toh auto correction se wo “Oh Fly” type ho jata hai .Aur iss tarah se “ अर्थ का अनर्थ हो जाता है “.
Aise me aap chahte hai aap jo likhe wo hi message me send ho toh iske liye aapko Auto –correction off karna padega.Agar aap auto-correction off karna chahte hai toh aap bataye gaye steps ko follow kijiye :-
#Step1. Sbse phle aap menu par jaye .Aur usme “Settings” Par click kare .
#Step2:-Setting me jaane ke baad aapko “Language & Input “ milega .Aap uspe click kare.
#Step3:- Iss step ke baad apko “Android Keyboard “ par click karna hai.
#Step4:- Android Keyboard par click karne ke baad aapko kuch options milenge.
#Step5:- Un sabhi options me se aapko “Spelling Correction “ ka option milega.Uss par agar check hai toh usko uncheck karna hai .
#Step6:- Jab aap uncheck kar denge toh iske baad aap jab bhi message ya chatting karenge toh auto correction nahi hoga .Aur aapko dikkat ka saamna nahi karna pdega.
Iske baad agar aapko auto-correction fir se on karna hai toh issi tarah se settings me jaakar spelling correction ko on kar skte hai .
अगर आपको एंड्राइड से related कोई भी जानकारी लेना है या समस्या है तो आप कमेंट कर के बता सकते है .आपके प्रॉब्लम का सलूशन जल्द से जल्द दिया जायेगा .
0 Comments