Google ka apna ek application hai jaha se kisi bhi blog, website ka test kiya ja sakta hai, yah ek free tool hai. Apko bus browser par https://search.google.com/test/mobile-friendly URL open karna hoga aur apna domain name (site ka naam) enter karke submit karna hoga.
Kuch samay me result apke samane hoga agar mobile responsive site hai to apko result me show ho jayega agar nahi hai. Tab bhi apko iske bare me janakari mil jayega.
Agar website mobile friendly test me positive response mila tab to sahi hai. Lekin agar negative result aaya to apko jarurat apne website ko mobile reposive banane ki,
Kyoki Google algoritm 2019 update ke hisab se jo websites mobile responsive nahi hai unhe SERP(search engine result page) se remove kiya jaa rha hai. Isse Apke website SEO par negative impact padta hai.
Maine yaha par kuch basic tip share kiye hai jo apke liye helpful ho sakte hai agar aap website mobile friendly banana chahte hai.
Yah decide kar lijiye ki aapke blog/website load time kitna hai. Kyuki 29% mobile users load time jyada hone ke karan dusre site par switch kar jate hai. Jo hamare blog ke liye achha nahi hota hai.
Aur 40% se jayda mobile user aapke blog ko chhod dete hai agar aapka blog open hone me 3 seconds se jayada time leta hai . Isliye sbse important baat ki aap apne blog ka load time fix kare. Iske Liye aap sabse pahle Google Mobile Friedly Test Ke dwara apne Website Load Time & Web Designing Ke bare me jankari hasil kare.
Aapke blog/Website ka Theme Mobil Resposive nahi hai toh usko turant remove kar de. Aapko google par mobile friendly blogger templates mil jayenge. Agar aapka blog/ Website Mobile-Friendly nahi hai toh aapka blog google search me bahut km ya na ke barabar aayega. Aur agar aapka blog google search result me nahi aata hai toh aapke likhe huye sare post bekar hai.
Facebook Instant Article Enable Website Mobile Friendly hai aur Jab aap aise Website ko Mobile par Open karenge to yah 1 Second ke andar hi opne ho jayenge.
Apne blog par hamesha yah dhyan de ki aapke dwara publish kiya gaya post quality wala ho . Website Mobile friendly banane ke sath content bhi aisa hona chahiye jisse daily time on site per visitor ke hisab se increase ho aur Google Ke Liye apka Reputation increase ho.
Make Readable Text: Jab bhi kuch likhe aisa likhe ki wo padhne me jaldi aaye. Usko aasani se padh kar samjha ja skte. Isko Eye-Catching Techniches bhi bolte hai.
Size of content: Aapne jo bhi content likha hai uske font ka size itna hona chahiye ki user ko Padhne ke liye zoom na karna pade. Isliye aapko content ka size bhi dhyan me rakhna pdega.
Link placing between content:-Aap jab ko bhi koi post likh rahe hai aur agar uss post me aapko kisi dusre post se related keyword mile toh aap apne dusre post ka link uss content me eye-catching style me de de. Jisse user ko agar uss post me interest hoga toh uss post ko open kar lega. Jisse aapka hi fayda hoga. Aur iss tarah se aapke sabhi post ko barabar visitors milte rahenge.
User ke need ko analyze kare: Aap apne statistics me check kare ki aapke blog par visitors kya search karke aate hai . Aur uss keyword ko search karne par search engine me aapka position kya hai.
Ye sab check karne ke liye aap google analytics se dekh skte hai ya Search console (Webmaster) se. Aur iss tarah se agar uss keyword se relavant koi post aapke blog par nahi hai toh uske bare me apne blog par post likh post kare. Isse aapke blog ko ek uniqueness milti hai. Aur aapka blog mobile friendly hone ke sath sath search engine me upar aane lgta hai.
Upar diye gaye tips se aap sabhi websites jaise ki Blogger based blog, custom developed website ko aap mobile friendly bana sakte hai.
Lekin agar aap WordPress based website ka use karte hai to aap bus AMP ke madad se complete website ko convert kar sakte hai mobile friendly templetes me.
AMP Jiska full form hai ‘Accelerated Mobile Pages’ yah ek website publishing technology hai jise Google ne banaya hai. Jise Facebook instant articles ka competitor mana jata hai.
AMP kisi bhi website ko automatically convert karke mobile friendly bana deta hai aur WordPress blog par setup karna bahut asaan hai. Isme apko koi code likhane ki jaurat nahi hai.
Bus aap WordPress AMP Plugin download kare aur use activate kare, apka website mobile friendly ho jayega aur aap use apne hisab se customize kar sakte hai.
Dosto, Hope sabhi ko idea mil gaya hoga ki Website Mobile Friedly Kaise Banaye? Agar aap Webiste ko google mobile view jaise mobile site design kar lenge. To apke Blog/Website ka Traffic aur Per Day Visitor rate Boost Ho jayega aur sath Daily time on site ratio bhi increase ho jayega. Jaise hi apka Traffic boost hoga waise Google Adsese Income Boost hoga. Isliye sabse pahle Website mobile responsive ya website mobile friendly banaye.
0 Comments