Jab aap kisi app ko access krna band kr dete hai toh bhi aapka data background me chal rhe app me use hota rhta hai.Toh iske liye aap network setting me jaker Background Restrict Data on kar dijiye …Jisse aap jb bhi app ko on krenge tabhi aapka data pack use hoga.Usse aapka data bacha rhega.
Agar aapne abhi tak apne phone me koi data saving browser install nahi kiya hai toh aap jaldi se koi aisa browser install kr lijiye jaise opera mini .Iske aapka 40% data bach jata hai aur kaam aapka 100% hota hai.
koshish yahi kare ki aap apne phkne par jo bhi website khole wo mobile version hi ho..Jisse aapka jyada data nahi kharch hoga..Aur mobile version aapke phone me achhe se dikhega bhi.Jisko aap assani se access kar skte hai.
Bahut saare user apne phone ki memory badhane ke liye cache memory ko clear kar dete hai.Aapka storage toh badh jata hai lekin jb aap net use krte hai toh jo pages or data save rhte hai wo fir se download hone lgte hai. Jisse aapka adhik data khatam hota hai.Isliye dhyan rakhe ki Cache memory ko clear na kare.
- Raat ko sone ke time apna data off kar de.
- Data limit ko set kar de jisse aapko phle pta chal jayega ki Kitna MB bacha hai.
- Data usage ko bhi check kare jisme aapko pata chlta hai ki kon sa app kitna data le rha hai.Aur agat uss app ki jarurat nahi hai toh usko uninstall kar dijiye…!!
Dosto, yaha par Mobile Data bachane ke 5 tarike Ke bare me bataya gaya. Agar aap Jio 4G SIM ya Kisi aur SIM ka Use karte hai. To aksar apka Internet Data Jaldi End ho jata hai aur youtube video dekhate samay jyada Internet Use hota hai. Agar aap in sabhi Tip ka Follow karenge to jarur apne Mobile ka Internet Data Bacha sakte hai.
0 Comments