header ads

Net Neutrality क्या है?

Sabse pahle agar baat kare net neutrality kit oh isme 2 chije aati hai . Isme jo phle term yah hai ki Agar aapne ek baar Internet ka paisa de diya hai toh aap Jis tarah se chahe aap internet ko use kar skte hai . Lekin Kuch jagah par kuch sites band hai inka use nahi kiya ja skta hai .
Dusre shabdo me Agar aapne apne Internet Service Provider (ISP) ko paisa de diya hai toh aapko internet use krne me koi problem nahi aani chahiye.
Aur jo dusra term hai Net Neutrality se related wo hai ki agar aap koi 2 website use kr rhe hai toh aapki ISP aapko dono website par equal  speed provide kregi . Aapke sath kabhi aisa nahi hoga ki aapka ISP kisi ek site ko slow kr de aur kisi dusri site ko fast kar de .
Matlab isse saaf pta chlta hai ki Jo net hai wo Neutral hai. Yani isme ko bias nahi hai. Sabke ke liye equal hai. Toh ye jo Net Neutrality topic hai ye sbhi ISPs ko follow krna pdega . Aur almost sabhi desho me yah rule bhi ho gya hai .
Lekin hamare India me kuch company hai jaise Airtel, Idea, Reliance inko thodi dikkat hai Iss net neutrality se .
Net Neutrality in india
Net neutrality important kyo hain iske bare me janakari  rakhana bahut  jaruri  hai. Kyoki ek Internet user ke liye iska bahut importance hai.
  • Iska sabse bada benefit hai ki jab bhi hum Online video streaming karte hai to net neutrality ki wajah se hame yah free dekhane ko mil pata hai aur bade araam se apne favorite movies online mobile par dekhate hai. Agar internet neutrality naa rhe hai to hame yah free me nahi milega.
  • Hum sabhi abhi tak kisi bhi messaging Application jaise ki WhatsApp par free video call kar lete hai. Aisa possible TRAI net neutrality plan ke wajah se ho paata hai. Agar ye naa rhe to apko video calling application use karne ke bhi charge dene honge.
Indian government ne 2018, bina kisi ko bataye ek aise regulation lagu kar diya jo net neutrality support karta tha au rise “world’s strongest” net neutrality rules ka naam diya tha. Bahut se ISP’s iske against the aur unhone isko hatane ke liye TRAI se mang bhi ki thi.
TRAI ne iske liye net neutrality vote ke madhyam se internet users ka feedback liye ki kaun isko support karta hai aur kaun nahi, bahut saare logo ko iske bare me janakari nahi tha isliye shyad unhone ne isk against feedback de diya tha aur iske wajay the IPS’s.
Lekin fir bhi India me yah bana rha aur aaj isi ki wajah se jo bahut se websites se free video dekh sakte hai aur video call bilkul free kar sakte hai. Hame Extra kaam ke liye charge nahi dena hoga.
Abhi kuch dino se Facebook free basics sunne me aa rha hai . Facebook ke bare me toh aap logo ko pata hi hoga. Aaj facebook duniya me sbse jyada use kiya jaane wala no.1 social site hai . Agar facebook aapko free me access mile toh sb koi lena chahega .
Aur facebook ko bhi dar hai ki kahi mujhse accha koi social site na aa jaye . Isliye usne ek Internet.Org karke ek service lauch kari thi . Jisme aapko free me kuch websites ko access karne milta tha .
Toh mere khne ka matlab yah hai ki agar Facebook aapko free me available hoga toh aap Facebook chhodkar koi aur social site nahi use kroge . Isse Facebook ko bahut fayda milega . aur iss tarah se Facebook maximum user tak pahuch gya .
Aur sbko facebook ka nasha ho gya . Toh baad me agar Facebook apna free access band kar deta hai toh bhi log facebook chalana band nahi karenge . Yahi Facebook free basics hai jo logo ko dhokhe me daal rha hai .
Ummid hai aap sabhi ko samjh me aa gaya hoga ki Net Neutrality Kya Hai? aur iska kya importance hai? Iske sath humne janakari hasil ki Free Basics Kya Hai? aur sath ye bhi pta chal gaya hoga ki Net Neutrality ka India me Kya haal hai aur kaun se Companiya ise pasand nahhi karti hai. Agar apko Net Neutrality ko Lekar koi swal ya sujhav hai to aap Comment jarur kare.

Post a Comment

0 Comments