header ads

Smartphone Ki Battery Ko Kaise Rakhe Safe | Super Tips [Hindi]


Dosto aajkal new smartphones ke battery ke designs thode change ho gye hai .Phle ke phones me battery ko phone se alag kiya ja skta tha .Lekin ab aise aise phone aa rhe hai jiski battery non-removable hoti hai jinko phone se alag nahi kiya skta . Aise me yah bahut jaruri hota hai ki aap apne phone ke battery life ho lmbe se lmbe samay tak kr le .Jisse aap ko service center na jana pde . Isliye sbse jaruri yah hai ki aap apne battery ka khyal rkhe . Kyuki battery hi wah chiz hai jo sbse jaldi kharab hona shuru hoti hai.
Agar kisi battery ki life bahut jyada hai toh wah 2-3 saal tk bss. Baki jo bhi components hai apke phone ki jaise RAM, processors, ROM, Speakers, Microphon, camera, motherboard, Sensors etc   Jinke kharab hone ke chances bahut km hote hai . Toh non removable battery ko dhyan me rkhte huye mai aapko kuch aise tips bataunga jisse aapke phone ki battery bahut saalo tk chal skti hai . Iske liye aap niche btaye gye steps ko dhyan se padhiye .
 
# Your Charging Habbit :-
battery charging habbit
Dosto sbse phli baat toh yah hai ki aapki charging habbit thik honi chahiye . Charging Habbit ka matlab ye ki aap kabhi bhi apne phone ke battery ko 0% tk na hone de. Aur agar 0% par hai toh phone ko 100% tk charge ek baar me na kare . Aur kabhi 100% par use karna start kiya fir sham tk use krte krte 0% kar diya ..Aisa bhi nahi hona chahiye. Iss habit ko jitna hi kam rkhe utna hi aapke battery ke liye achcha hai . Agar aap apne battery ko jb bhi time milta hai charge me lga dijiye . Jaise kabhi 15 minute charge kar liye .. Kabhi 30% charge kar  liya  .Ye chiz aapke phone ke battery ke liye better rhegi .
Iss chiz ko aap apne ghar me lge invertor ke sath kar skte hai . Jaise kbhi 2 din electricity nahi aati hai toh aapki invertor ki battery deep me chali jati hai aur fir usko charge krne me bahut problem hoti hai . Aur jb bhi Electricity aati hai aapka invertor charge ho jata hai . Mujhe ummeed hai ki aap samjh gaye honge .
 
# Check Your Charger And Phone Compatibility :-
Charge Adaptor

Dosto sbse important baat yah ki aap apne phone ko charge karne ke liye kon sa charger use karte ho .Agar aapke phone ke sath km Ampère ka charger mila hai aur aap usko fast charge karna chahte hai toh aap usse high ampere ke charger ko use kar skte hai .Isse aapke battery par koi asar nahi pdega . Bss itna khayal rkhe ki jo charger ki output voltage hai wo same rhni chahiye  aapke original charger ke sath . Kyuki aapke phone par high ampere , current ka koi asar nahi pdega kyuki aapka phone utna hi accept karega jitna aapke phone ki jarurat  hai.
#Full Use of Your Battery once a month :- 
Battery Life
1 Month me ek baar aap apne phone ko 0% tk use kare . Aur fir 0 se lekar lagatar 100% tk charge kare . Aap soch rhe honge ki isse kya hoga . Chaliye mai aapko ek live example deta hu . Jaise koi aadmi apna Blood donate karta hai toh uska nya blood aur teji se bnta hai .Same isi tarah se jab aapki battery lmbe samay baad khali ho jati hai uske baad jb use charge kiya jata hai tb wo acche se refresh ho jati hai .
Waise agar normal battery ki life ki baat kare toh mobile phone ke battery ki life 1000 Charge cycle hoti hai .Matlb aap apne battery ko 1000 Baar charge kar skte hai .Iss tarah se agar aap daily ek baar charge karte hai toh aapki battery ki life 3 saal tk hoti hai .Aisa nahi hai ki 3 saal baad aapki battery ek dum se kaam karna band kar degi . Wo bss battery backup kam kr degi.

Toh dosto inn tips ka use karke aap apne phone ke battery ke life ko badha skte hai . Khas taur se un batteries ki jo Shield hote hai .Ummeed hai ki aapko yah article pasand aaya hoga .Toh please iss article ko apne friends ka sath share krna na bhule .Aur haa TechYukti Site par aapko daily Technology se related article milegi toh aap isko jarur yaad rkhe…!!

Post a Comment

0 Comments