Android phone functionality fast karne ke liye apko kya hoga? Shayad aap nahi janate ho lekin main apko batunga ki kaise aap slow performance phone to fast performance Android phone bana sakte hai.
Maine yaha par 3 basic applications tips ke bare me bataunga jo apke Android phone ko fast kare sakte.
Greenify app jaisa ki iska naam hai waisa hi iska kaam hai .Matlab yah aapke phone ko hara bhara kar deta hai . Jb koi app backgroung me run kar rahi hoti hai tab yah unn apps ho Hibernate kar deta hai yani Band kar deta hai jisse aapki battery ke sath sath RAM ki bhi bachat hoti hai . Iss app ko use kar ke aap apne phone me gajab ke changes la skte hai .
Jaise performance , battery aur RAM inn sb chizo ko yah better kar dega . Greenify behad hi simple aur gajab ka application hai . Yah anya 2 app se better app hai .Toh phla recommendation Greenify hi hai .
Aap is link se Greenify ko install kar skte hai :- Play Store
maid ke developer aapko salah dete hai ki aap iss app ko apne risk par use kijiye . Jbki Greenify app bahut hi behtar app hai jo android ke dwara bhi recommend kiya jata hai .Lekin fir bhi SD maid bahut hi powerful tool hai .SD maid purane files jo kisi app ko uninstall karne ke baad bhi pade rhte hai unko puri tarah se delete karta hai .
Jisse aapka kuch storage free hota hai aur iss tarah se aapke phone ka performance bhi badh jata hai .SD maid yah bhi ensure karta hai ki agar aapke phone ko faltu ka folder ya file hai toh usko detect karke delete karta hai
Aap is link se SD Maid ko install kar skte hai :- Play Store
Jo 3rd app hai wo hai Android Assistant . Iss app ko sirf ek single tap se use kiya ja skta hai .Yah aapke system ko monitor krne ka bahut hi badhiya tool hai .Android Assistant aapke files ,settings ,CPU,RAM,ROM ,SD cards ,Battery etc par najar rkhta hai .
In sbko control krta hai .Iske sath sath yah cache file ko delete krke CPU ko fast karta hai . Yah phone ki battery ko bhi bachata hai .
Free android mobile applications se aap phone speed fast kar sakte hai. Game setting improve kar sakte hai, Full HD Video play karne me madad le sakte hai.
Dost, Ummid hai apko samajh aa gaya hoga ki Android phone fast kaise kare? aur iske liye kaun sa sabse best tarika hai. Hum Android phone setting me basic changes karke phone performance increase kar sakte hai aur video play ya game play ke samay koi problem nahi ayega.
0 Comments