Hashtag Hindi meaning hota hai ‘हैशटैग’ matlab iska koi bhi Hindi anuwad nahi hota hai. Ise ‘#’ Symbol se repersent kiya jata hai.
Hashtag ko internet par ek signature ki tarah use kiya jaata hai aur hamesha search engine, social media ya internet par koi content (video, text, image) trending me jaata hai to uska karna hai ya # symbol. Jaise ki is samay #ipl2019 bahut populer.
Iss hashtag ko lgane ke baad jo word hota hai wo thoda special dikhne lgta hai . Aap iss tarah ke hashtag ka use facebook, instagram, twitter etc par dekhte honge .
Iss hashtag twitter par trending topic ke bare me bhi pata chlta hai .Jis word ka hashtag bnaya jata hai agar hum kisi social site par uss hashtag ko click karte hai toh wo sari post hume dikh jati hai jo uss hashtag ke sath likhi rhti hai .
Aap soch rhe honge ki ye hashtag blogging me kasie madad kregi . Iss hashtag ki help se aap apne blog par visitors pa skte hai . Jb bhi aap apne post ya article ko social media jaise google plus , twitter ya facebook par share karte hai hai toh share karte samay agar aap apne keywords kea age hash # lga ke share krte hai toh aapke article par visits aate hai .
Jab bhi trending news ya topic rhta hai aap dekhte honge ki uss topic kea age hash lga hota hai .Aur aap us topic par click karte hai toh aapko dher saare logo ke comments ,links ,articles dikhayi dete hai . Aur agar aap usme interested hote hai toh aap kisi link par click karte hai .
Toh same issi tarah se aapke blog par visitors aate hai . Jab bhi apne post se related keywords ke sath hash lga ke share karte hai toh duniya me jitne bhi log uss hashtag ko access kr rhe hote hai wo aapka link open kar skte hai . iss tarah se aapka post search results me bhi upar aata hai .
Iss tarah se hashtag ek bahut hi powerful tool hai kisi bhi post ko share krne ke liye jo aapki baat ko jyada se jyada logo tk pahuchane me madad krta hai . Yah lagbhag sabhi social sites par kaam krta hai
Bahut se logo ko hashtag ke real use ka nahi pta hai . Hashtag kyu use hota hai ye bhi nhi pta hai. Kuch log instagram par likes paane ke liye hashtag lgate hai jaise #food #photo #pout #flower #insta #masti #fun #love #kuchbhi #falana #dhika .. Inn sb hashtag me se 10% hashtag hi kaam layak hai . Unko hashtag lgane ke baad color changing bahut pasand aati hai .
Mai aapko btata hu hashtag kab use krna chahiy e. Jab bhi aap twitter ya facebook open karte hai aapko trending now ka section dikhta hai jisme aapko hashtag lge huye kuch topics dikhte hai .iss tarah se aap un hashtag ke sath apni baat ya post likh kar share kar skte hai .Jisse aapki post maximum logo tk pahuchegi.
Instragm ek photo aur video sharing mobile application hai aur yaha 2 cheeze sabse jyada matter karti hai.
- Followers
- Like
Agar aap Instagram active followers increase karna chahte hai. To aap jab bhi photo ya video share kare to unke sath post se related description jarur likhe aur sath me photo ya video jiske bare me usse related #tag jarur use kare.
Jaise method se apne instagram par #tag keywords ka use kiya hai theek usi trah Twitter par bhi kiya jaata hai. App jise bare me post share kar rhe hai to aap @ sign (Kisi twiiter user ko tag karne ke liye) use karte hai. Theek isi tarah kisi topic ke pahle # symbol laga denge to wah ek keyword ho jayega.
Agar apko samajh me nahi aa rha hai ki kaun sa # tag use karna chahiye to aap hashtag finder website ki madad se trending me chal rhe top tags ko jaan sakte hai.
Trending hashtag finder website ka naam hai – https://trends24.in/india/
Yah website sabse popular # tag ke liye aur isme apko location ke hisab se trending tag mil sakte hai. Jo ki apke Hashtag marketing ko trending me laa sakte aur apka post top par aa jayega.
Aapko apne blog par visit paana hai toh aap apne blog ke sabhi post ko ek ek karke sbhi social sites par daily share kare hashtag lga ke . Dhyan rhe hashtag aapke post ke keywords se match hona chahiye .
Itna karke ke baad agar aapke blog ke traffic par jb koi antar aaye toh comment section me jarur btaye. Blogger ya WordPress content me hum direct #tag ka use nahi karte hai. Jab Hum post ko publish kar lete hai aur use share Karte hai to description ke sath jo targetd keywords hote hai unke samane #tag laga dete hai.
Dosto, Hashtag (#) Kya hai? aur iska Hindi meaning kya hota hai? ye aap samjh gaye honge. Agar aap ek blogger, Search engine optimization expert ya fir Social media expert banana chahte hai. To apko hashtag use, keyword ke bare me detail me janakari hona chahiye
0 Comments